Be zabaa.n kaliyo.n kaa dil mailaa kiyaa,
aye hawaaye subah tune kyaa kiyaa

ki ataa guk ko ik rangi qabaa,
booye gul ko shaher mein ruswaa kiyaa

beKhayaali mein sitaare chun liye,
jagmagaati raat ko andhaa kiyaa

kyaa tujhe wo subah kaajib yaad hai,
raushni se tune jab pardaa kiyaa

rooTh kar ghar se gayaa tu kitni baar,
kyaa daro deewaar ne peechhaa kiyaa?

chalte chalte shaam ik dam ha.ns paDi,
ik sitaaraa der tak royaa kiyaa

ek kHwaab e bekaraa.n thaa aur main,
tune lafz e besadaa yeh kyaa kiyaa

apnu uryaani chhupaane ke liye,
tune saare shaher ko nangaa kiyaa

Wazeer Aaghaa

Comments

Popular Posts