Beniyaaz-E-Gham-E-Paimaan-E-Wafa Ho Jaana
Tum Bhi Auron Ki Tarah Mujh Se Juda Ho Jaana

Main Bhi Palakon Pe Saja Loonga Lahoo Ki Boondain
Tum Bhi Paabastaa-E-Zanjir-E-Hina Ho Jaana

Khalq Ki Sangzani Meri Khataaon Ka Sila
Tum To Maasoom Ho Tum Door Zara Ho Jaana

Ab Mere Waaste Tariyaq Hai Ilhaad Ka Zahar
Tum Kisi Aur Pujaari Ke Khuda Ho Jaana 


Waseem Barelwi

Comments

  1. Ye shayad Faraz sahab ka hai yaar..... Maine kayi jagah unke naam se padhi hai....

    ReplyDelete
  2. hmm...abhi maine dekhaa to paayaa ke kayi jagah ye waseem barelvi ke naam se hai magar kuch jagah ahmad faraz ke naam se bhi hai, mera khayaal hai kisi kitaab mein dekhne ke baad hi faisla lenaa hogaa...aap dekh ke bataaye.n, main bhi koshish karoonga :)

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular Posts