dard dil ki kitaab mange hain

dard dil ki kitaab mange hain
zindagi ka hisaab mange hain

ishq ki laaj ae khuda rakhna
vo gunaah me sawaab mange hain

masti-e-chashm-e-yaar kya kam hai.
kaun paagal sharaab mange hain

jo nikal kar kabhi guroob na ho..
subah vo aafatab maange hain

kaisi aazadi kiski khush-haali
bachcha bachcha hisaab mange hain

nashaa na utre hashr tak "izhaar"
rooh aisi sharaab mange hain





Izhaar Shaadaani

Comments

Popular Posts