dariya ne jab se chup ka libada pehan liya

dariya ne jab se chup ka libada pehan liya,
pyaasoN ne apny jism pe sehra pehan liya...

wo TaaT ki qabaa thi ya kaghaz tha jo bhi tha

jesa bhi mil gaya hmaiN wesa pehan liya...

faqoN se tang aaye to poshaak bech di,

uriyaaN hu'ay to shab ka libadaa pehan liya...

garmi lagi to khud se alag ho k so gaye,

sardi lagi to khud ko dobara pehan liya...

bhoNchal mei kafan ki zuroorat nahiN paRi,

her laash ne makan ka malbaa pehan liya...

Bedil libaas-e-zeest bohat deedazeb tha,

aur ham ne is libaas ko ulTa pehan liya...


Bedil Haidery

Comments