Dil mein kyaa mehrbaa.n nahi.n aati,

Dil mein kyaa mehrbaa.n nahi.n aati,
baat kahne mein haa.n nahi.n aati

baDh gayaa tujhse wo sitam ijaad,
sharm aye aasmaa.n nahi.n aati

jis tarah qaul ke hain wo sachche,
mere mu.nh mein zabaa.n nahi.n aati

hai tabi'at bhi apni harjaayi,
kis jagah,ye kahaa.n nahi.n aati

jal ke dil kHaak ho gayaa shaayad,
boo e soze nihaa.n nahi.n aati

go balaa hai mufaarqat teri,
nahi.n aati, jahaa.n nahi.n aati

bekHudi mein kahaa thaa usne haal,
yaad wo daastaa.n nahi.n aati

hai nazaakat bhari kHabar unki,
ke wahaa.n se yahaa.n nahi.n aati

''Daagh'' hi jaantaa hai tarze wafaa,
tumko aye mehrbaa.n nahi.n aati

Daagh Dahelvi

Comments

Popular Posts