dil qaabil e mohabbat e jaanaa.n nahi.n rahaa,

dil qaabil e mohabbat e jaanaa.n nahi.n rahaa,
wo walwalaa,wo josh,wo tughyaa.n nahi.n rahaa


karte hain apne zakhm e jigar ko rafoo hum aap,
kuch bhi khyaal e jumbish e mizgaa.n nahi.n rahaa


kyaa achche ho gaye bhalo.n se bure hue
yaaro.n ko fikr e chaaraa o darmaa.n nahi.n rahaa 


kis kaam ke rahe jo kisi se rahaa naa kaam,
sar hai magar ghuroor ka saamaa.n nahi.n rahaa


"Momin" ye laaf e ulfat e taqwaa hai kyun abas 
dilli mein koi dushman e imaa.n nahi.n rahaa


Momin Khaa.n Momin

Comments

Popular Posts