Diye jalaaye to anjaam kya hua mera....

Diye jalaaye to anjaam kya hua mera....
Likha hai tez hawaaon ne marsiya mera.....

kahin sharif namaazi kahin farebi peer,
Qabeela mera, nasab mera, silsila mera......

kisi ne zehar kaha hai kisine shahad kaha,
koi samajh nahi paata hai zaayeka mera......

Main chahta thha ghazal aasman ho jaaye,
magar zameen se chipka hai kaafiyaa mera......

Main pattharon ki tarah gungey saamaiin me tha,
mujhe sunaate rahe log waaqeya mera.......

usey khabar hai ki main harf harf suraj huN,
woh shakhs padhta raha hai likha hua mera.....

JahaN pe kuchh bhi nahi hai wahaN bahut kuchh hai,
ye kaayenaat to hai khaali haashiya mera.......

BalandiyoN ke safar main ye dhyaan aata hai,
zameen dekh rahi hogi raasta mera.......!!


Dr. Rahat Indori

Comments

Popular Posts