Eezaa e dard o ghum teri furqat mein mil gayi,
Eezaa e dard o ghum teri furqat mein mil gayi,
milni thi jo sazaa wo mohabbat mein mil gayi
ye shakl ittehaad ki soorat mein mil gayi,
tasveer aapki meri hairat mein mil gayi
dil ko hai iztiraab, na wahshat mizaaj mein,
aasaaish aise kunje qanaa'at mein mil gayi
duniyaa mein jaantaa hoon ke jannat mili mujhe,
raahat agar zaraa si mohabbat mein mil gayi
waqt e aakHir aa hi gayaa, maut kaa mazaa
yeh lazzat aur dard ki lazzat mein mil gayi
is par bhi humko naaz hai mash'hoor to hue,
ruswaayi apni aapki shohrat mein mil gayi
bulbul kaa naalaa kyun meri fariyaad mein milaa,
kyun gul ki rangat aapki rangat mein mil gayi
aye ''Daagh'' shukr kar ke sharafyaab tu hua
dil ki muraab haj o ziyaarat mein mil gayi
Daagh Dahelvi
Comments
Post a Comment