ek tehni per phole phale hain Pakistan aur main

ek tehni per phole phale hain Pakistan aur main
her mausam mein saath rahe hain Pakistan aur main

Kaali raat, hawa toofani, Maula paar utaar!
eik hi kashti mein bethe hain Pakistan aur main

Ghafil bhi nahi rehne deti khauf samay ki raat
bari bari soo letay hain Pakistan aur main

us k sar per baap ki pagri main hoon na-farmaan
eik hi shakhs k do betay hain Pakistan aur main

aur abhi kuch waqt lagay ga thakan utaarne mein
hijrat kar k aaye hue hain Pakistan aur main

apni misaal to yun hai Taabish jaise do majzoob
apne aap mein gum rehte hain Pakistan aur main

Abbaas Taabish

Comments

Popular Posts