ga.nwaai kis ki tamana mein zindagi mainey...

ga.nwaai kis ki tamana mein zindagi mainey...
wo koun hai jisey dekha nhi kabhi mainey...

tera khayal to hai par tera wajood nahi.n...
tere liye to ye mehfil sajai thi mainey...

tere adam ko ganwara na tha wajood mera...
so apni baikh kani mein kami na ki mainey...

hai meri zaat sey mansoob sad fasana_e_ishq...
aur ek satar bhi ab tak nahi.n likhi mainey

khud apney ashwa_o_andaaz ka shaheed hon mein...
khud apni zaat sey barti hai berukhi mainey...

merey hareef merey yka taziyon pey nisar...
tmaam umar haleefon sey jang ki mainey...

kharash_e_naghma sey seena chila hoa hai mera...
fugaan k tark na ki naghma parwari mainey...

dawa sey faida maqsood tha hi kab k faqat...
dawa k shok meinseyht tbaah ki mainey...

zbaana zan tha jigar soz tushnagi ka azaab...
so jof_e_seena mein dozakh andail li mainey...

sarvar_e_may pey b ghaliib raha shaoor mera...
k har reayat_e_gham zehen mein rakhi mainey...

gham_e_shaoor koi dam to mujh ko mohlat dey...
tamaam umr jalaya hai apna ji mainey..

ilaaj ye hai k majboor kar diya jaaon...
wagarna yun to kisi ki nahi suni mainey...

raha mein shahid_e_tanha nasheen_e_msand_e_gham...
aur apne karb_e_anaa sey gharaz rakhi mainey...

Jaun Elia

Comments

Popular Posts