Ghum e aashiqui se kah do rah e aam tak naa pahunche,

Ghum e aashiqui se kah do rah e aam tak naa pahunche,
mujhe kHauf hai ye tohmat mire naam tak naa pahunche


main nazar se pi rahaa thaa ke ye dil ne bad'duaa di,
Tiraa haath zindagi bhar kabhi jaam tak naa pahunche


nayi subah par nazar hai magar aah ye bhi Dar hai
ye saher bhi raftaa raftaa kahi.n shaam tak naa pahunche


ye adaa e beniyaazi tujhe bewafaa mubaarik,
magar aisi berukhi kyaa ke salaam tak na pahunche


jo niqaabe rukh uThaa di to ye qaid bhi lagaa di
uThe har nigaah lekin koi baam tak na pahunche


Shakeel Budaayuni

Comments

Popular Posts