Hai justju ke kHoob se hai kHoobtar kahaan

ab thaharti hai dekhiye jaakar nazar kahaan
yaa rab is ikHtilaat kaa anjaam ho bakHair
thaa usko humse rabt magar is qadar kahaan
ik umr chaahiye ke gawaaraa ho neeshe umr,
rakhi hai aaj lazzat e zakhm e jigar kahaan
hum jis pe mar rahe hain wo hai baat hi kuch aur,
aalam mein tujh se laakh sahi tu magar kahaan
hoti nahin qubool du'aa tark e ishq ki,
dil chaahtaa naa ho to zabaa.n mein asar kahaan
''Haali'' nishaat e naghmaa o may dhoonDte ho ab,
aaye ho waqt e subah rahe raat bhar kahaan
Altaaf Hussain ''Haali''

Comments
Post a Comment