hamaare dil pe jo zaKhmoN kaa baab likhaa hai

hamaare dil pe jo zaKhmoN kaa baab likhaa hai
usii meN vaqt kaa saaraa hisaab likhaa hai

kuch aur kaam to ham se na ho sakaa lekin
tumhaare hijr kaa ek ek azaab likhaa hai

suluuk nishtaroN jaisaa na keejiye ham se
hameshaa aap ko ham ne gulaab likhaa hai

tere vajuud ko mahsuus umr bhar hogaa
tere laboN pe jo ham ne javaab likhaa hai

hu’aa fasaad to us meN nahiiN kisii kaa qusuur
havaa-e-shah’r ne mausam Kharaab likhaa hai

agar yaqiiN nahiiN to uThaaiye taariiKh
hamaaraa naam basad aab-o-taab likhaa hai

Manzar Bhopaali

Comments

Popular Posts