hamne kaati hain teri yaad main raatein aksar

hamne kaati hain teri yaad main raatein aksar
dil se guzari hai sitaaro ki raatein aksar

aur to kon hai jo mujh ko tasalli detaa
haath rakh deti hain dil par teri baatein aksar

husn shaaist-e-tehzeeb-e- alam hai shayad
ghamzadaa lagti hai kion chandini raatein aksar

haal kehnaa hai kisi se to mukhaatib hai koi...
kitni dilchasp huaa karti hai baatein aksar...


Jaa.N Nisaar Akhtar

Comments

Popular Posts