har gizz maera wehshi na hoa raam kissi ka
wo subho ko hai yaar mera,shaam kissi ka

iss hasti e mohoom mai har gizz na khuli chashm
maloom kissi ko nai.n anjaam kissi ka

itna to koi keh day k mera yaar kaha.n hai
billah mai lainay ka nai.n naam kissi ka

honay day mera chaak garebaa.n meray naaseh
niklay meray say bhala kaam kissi ka

naa-haq ko fughaa,n kay tayei.n tash-heer kiya hai
duniya mai na hovay koi badnaam kissi ka

Ashraf Ali Khaa.n Fughaa.n

Comments

Popular Posts