Hum bhi phirte hain yak hasham lekar,

Hum bhi phirte hain yak hasham lekar, 
dastaa e daagho fauj e ghum lekar

dastkash naalaa, pesh rau giriyaa, 
aah chalti hai yaa.n alam le kar 

maut ik maa.ndgi kaa waqfaa hai,
ya'aani aage chalenge dum lekar

Baarhaa saidgah se uski gaye, 
daagh e yaas aahoo e haram lekar

shauq agar hai yahi to aye qaasid,
hum bhi aate hain ab qalam le kar 

''meer'' saahib hi chooke aye bad ahed, 
warnaa denaa thaa dil qasam lekar 

Meer Taqi Meer

Comments

Popular Posts