Intahaayekaar
Pindaar ke kHoogar ko.
naakaam bhi dekhoge?
aaghaaz se waaqif ho,
anjaam bhi dekhoge?
rangeeniyaai duniyaa se,
maayoos saa ho jaanaa,
dukhtaa huaa dil le kar,
tanhaayi mein kho jaanaa
tarsi hui nazro.n ko,
hasrat se jhukaa lenaa
fariyaad ke tukDo.n ko,
aaho.n mein chupaa lenaa
raato.n ki kHamoshi mein,
chhup kar kabhi ro lenaa,
majboor jawaani ke,
malboos ko dho jaanaa
jazbaat ki was'at ko,
sajdo.n se basaa lenaa
Bhooli hui yaado.n ko,
seene se lagaa lenaa
Faiz Ahmad Faiz
naakaam bhi dekhoge?
aaghaaz se waaqif ho,
anjaam bhi dekhoge?
rangeeniyaai duniyaa se,
maayoos saa ho jaanaa,
dukhtaa huaa dil le kar,
tanhaayi mein kho jaanaa
tarsi hui nazro.n ko,
hasrat se jhukaa lenaa
fariyaad ke tukDo.n ko,
aaho.n mein chupaa lenaa
raato.n ki kHamoshi mein,
chhup kar kabhi ro lenaa,
majboor jawaani ke,
malboos ko dho jaanaa
jazbaat ki was'at ko,
sajdo.n se basaa lenaa
Bhooli hui yaado.n ko,
seene se lagaa lenaa
Faiz Ahmad Faiz
Comments
Post a Comment