Is adaa se wo jafaa karte hain

Is adaa se wo jafaa karte hain
koi jaane ke wafaa karte hain

hunko cheDoge to pachhtaaoge,
ha.nsne waalo.n se ha.nsaa karte hain

ye bataataa nahi.n mujhko koi,
dil jo aataa hai to kyaa karte hain

husn o ishq nahi.n rahtaa baaqi,
har adaa mein wo adaa karte hain

kis qadar hain teri aankhe.n bebaak,
inse fitne bhi hayaa karte hain

isliye dil ko lagaa rakkhaa hain,
ismein mehboob rahaa karte hain

''Daagh'' tu dekh to,kyaa hotaa hai
jabr par jabr kiyaa karte hain

Daagh Dahelvi

Comments

Popular Posts