Jaa.n duniyaa bas ek ziyaa.n kaa saudaa thaa,

Jaa.n duniyaa bas ek ziyaa.n kaa saudaa thaa,
raah e talab mein kisko ye andaazaa thaa

Aankho.n mein deedaar kaa kaajal Daalaa thaa,
aanchal pe ummeed kaa taaraa Taa.nkaa thaa

haatho.n ki baa.nki chhan chhan chhan ha.nsti thi,
pairo.n ki jhaa.njhan ko gussaa aataa thaa

hawaa sakhi thi meri, rut humjoli thi
hum teeno.n ne milkar kyaa kyaa sochaa thaa

Har kone mein apne aap se baate.n thi.n
har pahlu se aaine mein dekhaa thaa

shaam Dhale aahaT ki kirane.n phooTi thi.n,
sooraj Doob ke mere ghar mein niklaa thaa

Zohraa Nigaah

Comments

Popular Posts