jab apni apni mehroomi se dar jate thay hum donoon

kisi gehri udaasi mein utar jate thay hum donoon
bahaar-e-shauq mein bad-e-khizaan aasaar chalti thi
shaguft-e-gul k mausum mein bikhar jate thay hum donoon
tumhare shehar k chaaron taraf paani hi paani tha
wohi eik jheel hoti thi jidher jate thay hum donoon
sunehri machhliyan, mahtaab aur kashti k andar hum
ye manzar gum tha phir bhi jheel per jate thay hum donoon
zamstaan ki hawaon mein faqat jismon k khaime thay
dabak jate thay un mein jab thithar jate thay hum donoon
ajab eik be-yaqeeni mein guzarti thi kinare per
theharte thay na uth k apne ghar jate thay hum donoon
bohat sa waqt lag jata tha khud ko jama karne mein
zara si baat par kitna bikhar jate thay hum donoon
kaheen jana nahi tha is liye aahista roo thay hum
zara sa faasla kar k thehar jate thay hum donoon
zamana dekhta rehta tha hum ko chor aankhon se
na jane kin khayalon mein guzar jate thay hum donoon
bas itna yaad pehli mohabbat ka safar tha wo
bas itna yaad hai shaam-o-sehar jate thay hum donoon
hudood-e-khuwaab se aagay humara kon rehta tha
hudood-e-khuwaab se aagay kidhar jate thay hum donoon
Abbaas Taabish

Comments
Post a Comment