jab se ham tabaah ho gaye

jab se ham tabaah ho gaye 
tum jahaa.N_panaah ho gaye 

husn par nikhaar aa gayaa 
aaine siyaah ho gaye 

aa.Ndhiyo.n ko kuchh pataa nahii.n 
ham bhii gard-e-raah ho gaye 

dushmano.n ko chiTThiyaa.N likkho 
dost Khair-Khvaah ho gaye 
 
Bekul Utsaahi 

Comments

Popular Posts