Jis bazm mein tu naaz se guftaar mein aawe,
jaa.n kaajbood e soorat e deewaar mein aawe

saaye ki tarah saath phire.n sarvo sanibar,
tu is qad e dilkash se jo gulzaar mein aawe

tab naaz e giraa.n maaygiye ashk bajaa hai,
jab lakHt e jigar deedaye kHoo.nbaar mein aawe

de mujhko shikaayat ki ijaazat ke sitamgar,
kuch tujhko mazaa bhi mere aazaar mein aawe

us chashm e fusu.ngar kaa agar paaye ishaaraa,
tooti ki tarah aainaa guftaar mein aawe

kaa.nto.n ki zabaa.n sookh gayi pyaas se, yaarab
ik aablaa paa waadiye purkHaar mein aawe

mar jaaon na kyun rashk se jab wo tan e naazuk,
aaghoshe khame halqaye junnaar mein aawe

Ghaaratgare naamoos naa ho gar hawas e zar,
kyun shaahid e guk baagh se baazaar mein aawe

tab chaak e girebaa.n kaa mazaa hai,dil e naadaa.n
jab tak nafas uljhaa huaa har taar mein aawe

Aatashkadaa hai seenaa meraa raaz e nihaa.n se,
aye waaye,agar maa'ariz e izhaar mein aawe

ganjinae ma'ani kaa tilism usko samajhiye,
jo lafz ke ''ghaalib'' mere ash'aar mein aawe

Mirzaa Ghaalib

Comments

Popular Posts