kaam ab koii na aayegaa bas ek dil ke sivaa

kaam ab koii na aayegaa bas ek dil ke sivaa
raaste band haiN sab kuucha-e-qaatil ke sivaa

baa'as-e-rashk hai tanhaaravii-e-rahrav-e-shauq
hamsafar koii nahiiN duuri-e-manzil ke sivaa

hamne duniaa kii har shai se uThaayaa dil ko
lekin ek shoKh ke hangaama-e-mahfil ke sivaa

teGh-e-munsif ho jahaaN, dar-o-rasan ho shaahid
begunaah kaun hai us shahar meN qaatil ke sivaa

jaane kis rang se aaii hai gulistaaN meN bahaar
koii naGhma hii nahiiN shor-e-salaasil ke sivaa


Ali Sardaar Jaafri

Comments

Popular Posts