kaha.n tha itna azaab aashnaa mera chehraa
jale charaagh to bujhne lagaa mera chehraa
wo tere hijr k din wo safeer sadio.n k
tu un dino me kabhi dekhta mera chehraa
mire siva koi itna udaas bhi to na tha
khizaa.n k chaand ko achcha laga mera chehraa
kitaab khol raha tha wo apne maazi ki
warq warq pe bikhartaa gaya mera chehraa
sehar k noor se dhulti hui teri aankhe.n
safar ki gard me lipta hua mera chehraa
hawaa ka aakhiri bosaa tha ya qayaamat thi
badan ki shaakh se phir gir padaa mera chehraa
jise bujhaa k hawaa shogwaar phirti hai
wo shamma'e shaam'e safar thi' k tha mera chehraa
ye log kyu.n mujhe pehchaante nahi "mohsin"
main sochtaa hoo.n kaha.n reh gaya mera chehraa
Comments
Post a Comment