khayal tark-e-tamanna na kar sake tu bhi

khayal tark-e-tamanna na kar sake tu bhi
udaasiyon ka madawa na kar sake tu bhi

kabhi wo waqt bhi aaye k koi lamha-e-aaish
mere baghair gawara na kar sake tu bhi
...
Khuda wo din na dikhaye tujhe k meri tarah
meri wafa pe bharosa na kar sake tu bhi

main apna uqdah'e'dil tujh ko sonp deta
bara maza ho agar waa na kar sake tu bhi

tujhe ye ghum k meri zindagi ka kiya hoga
mujhe ye zid k madawa na kar sake tu bhi

na kar khayal-e-talafi k mera zakham-e-wafa
wo zakham hai jisay acha na kar sake tu bhi

Naasir Kaazmi

Comments

Popular Posts