kisi ka dard ho dil beqarar apna hai
hawa kaheen ki ho seena figaar apna hai
ho koi fasal magar zakham khil hi jatay hain
sada bahar dil-e-daaghdar apna hai
...
bala se hum na piyen maikadah to garam hua
baqadar-e-tashnagi ranj-e-khumaar apna hai
jo shaad phirte thay kal aaj chup k rote hain
hazaar shukar ghum paaidaar apna hai
isi liye yahan kuch log hum se jalte hain
k jee jalane mein kyon ikhtiyaar apna hai
na tang kar dil-e-mehzon ko aay ghum-e-duniya
khudai bhar mein yehi ghum gusaar apna hai
kaheen mila to kisi din mana hi lain gay usay
wo zod ranj sahi phir bhi yaar apna hai
wo koi apne siwa hoto us ka shikwa karon
judai apni hai aur intezaar apna hai
na dhoond Nasir aashufta haal ko gher mein
wo boo-e-gul ki tarah beqaraar apna hai
Naasir Kaazmi
Comments
Post a Comment