kisi shay ko waha.n achchha na kehnaa
kisi shay ko waha.n achchha na kehnaa
gul e raanaa ko bhi raanaa na kehnaa
jamaal o husn me yaktaa sahi veh
magar kuchh baat hai, yaktaa na kehnaa
mera pegaam lekar jaao lekin,
na jab tak yaar ho tanhaa, na kehnaa
kaha.n abr aur kaha.n veh chasm'e "khusrow"
yun hi qatre ko tum dariyaa na kehnaa
Comments
Post a Comment