Kyaa aaye tum jo aage GhaDi do GHaDi ke baad

Kyaa aaye tum jo aage GhaDi do GHaDi ke baad
seene mein hogi saa.ns uDi do GHaDi ke baad

kal hum ne us se tark mulaaqaat ki to kyaa,
phir us baghair kal naa paDi do GHaDi ke baad

parwaanagard,sham'aa ke shab do GHaDi rahaa
phir dekhi us ki Khaak paDi do GHaDi ke baad

us la'ile lab ke hum ne liye bose is qadar,
sab uD gayi masi ki DHaDi do GHaDi ke baad

Allah re zaeef seene se har aah be asar,
lab tak jo pahunchi bhi to chaDhi ke baad

kyaa jaane do GHaDi wo rahe ''zauq'' kis tarah,
phir to na thahre paanw GHaDi do ghaDi ke baad

Sheikh Mohammad Ibraaheem Zauq

Comments

Popular Posts