Meri unki bhari mehfil mein hogi,

Meri unki bhari mehfil mein hogi,
zubaa.n par aayegi, jo dil mein hogi

na karte dillagi,kyaa jaante the
humaari jaan is mushkil mein hogi

churaayegaa usi se aankh qaatil,
zaraa si jaan jis bismil mein hogi

adam ke jaane waale,sunte jaao
ye aasaaish naa us manzil mein hogi

agar aqbaa mein duniyaa yaad aayi,
to mushkil aur ik mushkil mein hogi

nahi.n shoKhi se kHaali sharm uski,
qayaamat pardaa e haa'il mein hogi

wahaa.n chuTki mein jab wo teer lenge,
yahaa.n ik gudgudi si dil mein hogi

naa aayaa ''Daagh'' to achcha hai warnaa,
baDi halchal teri mehfil mein hogi

Daagh Dahelvi

Comments

Popular Posts