Mire sange mazaar par farhaad

Mire sange mazaar par farhaad,
rakh ke teshaa kahe hai yaa ustaad

humse bin marg kyaa judaa ho malaal,
jaan ke saath hai dil e naashaad

moond aankhe.n safar adam ka kar,
bas hai dekhaa na aalam e ijaad

Khaak bhi sar pe Daalne ko nahin,
kis kHaraabe mein hum hue aabaad

naamuraadi ho jis pe parwaanaa
Wo jalaataa phire charaaghe muraad

Meer Taqi ''Meer''

Comments

Popular Posts