Misaal e saayaa muhabbat mein jaal apnaa hoon
Misaal e saayaa muhabbat mein jaal apnaa hoon
tumhaare saath giraftaar e haal apnaa hoon
agarche nashaa hoon sab main kHum e jahaa.n mein lek,
barang e mai arqe infa'aal apnaa hoon
Miri numood ne mujhko kiyaa baraabar kHaak,
main naqsh e paa ki tarah paaymaal apnaa hoon
hui hai zindagi dushwaar mushkil aasaa.n kar,
phiroo.n chaloo.n to hoo.n par main wabaal apnaa hoon
tiraa hai wahm ke ye naatwaa.n hai jaame main,
wagarnaa main nahi.n ab ik khayaal apnaa hoon
balaa hui hai miri go ke tab'e raushan ''meer''
hoon aaftaab walekin zawaal apnaa hoon
Meer Taqi Meer
Comments
Post a Comment