Mujhko shikast-e-dil ka maza yaad aa gaya

Mujhko shikast-e-dil ka maza yaad aa gaya
tum kyu.n udaas ho gaye kya yaad aa gaya

kehne ko zindagi thi bahut mukHtasar magar

kuch yu.n basar hui ke Khudaa yaad aa gaya

barse baghair hi jo ghata ghir ke khul gaae

ek be-wafa ka ehd-e-wafa yaad aa gaya
 

yu.n chaunk uThey wo sun ke mera shikwa-e-firaaq
jaisay unhain bhi koi gila yaad aa gaya

maange.n ge ab dua ke usey bhool jaaye.n hum

lekin jo wo ba-waqt-e-dua yaad aa gaya

hairat hai tum ko dekh k masjid me.n aye "Khumaar"
 
kya baat ho gayi jo Khudaa yaad aa gaya

Khumaar Baaraabankwi

Comments

Popular Posts