Murjhaa ke kaali jheel mein girte huye bhi dekh .....

Sooraj hu.N mera rang magar din dhale bhi dekh .....
Kaagaz ki katarano.N ko bhii kehte hain log phool,
Rango.N ka aitabaar hi kya, soongh ke bhi dekh ......
Har chaand raakh hoke bikharna hai raah mein,
Jalte huye paro.n se uDaa hu.N, mujhe bhi dekh
Tune kaha na tha ki main kashti pe bojh hu.N,
Aankho.n ko ab na Dhaa.Np, mujhe doobte bhi dekh ....
Tu hi barahanaa-paa nahin is jalatii ret par,
Talvo.n mein jo hawa ke hain, vo aabale bhi dekh...
Insaan naachtaa hai yahaa.N putaliyo.n ke rang,
Duniyaa mein aa gaya hai to is ke maze bhi dekh ....
Bichhatii thi.N jis ki raah mein, phoolo.n ki chaadarein,
Ab us ki khaak ghaas ke pairo.N tale bhi dekh .....
Kya shaakh-e-baa-samar hai jo taktaa hai farsh ko,
Nazarein utha "Shakeb" kabhi saamne bhi dekh......
Shakeb Jalaali

Comments
Post a Comment