Naa ho kuch aur lekin jaan to hai,

Naa ho kuch aur lekin jaan to hai,
badan mein ab bhi ik mehmaan to hai

ye duniyaa kal na hogi ye ghalat hai,
magar is baat ka imkaan to hai

chalo gaali hi dekar yaad kar lo,
humaari bhi koi pehchaan to hai

are kyun khudkushi karte nahin ho,
koi mushkil nahin aasaan to hai

Mohammad Alvi

Comments

Popular Posts