junoo.n me aake cheekho mat sadaa aage nahi jaati.

junoo.n me aake cheekho mat sadaa aage nahi jaati.
yahan ke baalakhaano se hawa aage nahi jaati

talluq ke isi darje pe taara toot jaata hai.
yahan kuch baat aisi hai anaa aage nahi jaati.

abhi bhi mombatti leke apne ghar me aata hoon.
abhi bhi rozmarra se rida aage nahi jaati.

muhabbat ne kayi udte hue paikar dikhaaye hain.
magar us qaamad-o-qad se ghata aage nahi jaati.

mujhe maloom hai ye duniya kitna chota khanjar hai.
kabhi bhi apni gardan se fizaa aage nahi jaati.

Ahmad Kamaal Parwaazi

Comments

Popular Posts