chalo ishq nahi.n chaahne ki aadat hai

Chalo ishq nahi.n chaahne ki aadat hai..
Fir kya kare hume ek dusre ki aadat hai..

Tu apni sheeshagari ka hunar na kar zaaya..
Mai aaena hu mujhe tootne ki aadat hai..

ai kya kahu ke mujhe sabr kyu nahi aata
Mai kya karu ke tujhe dehne ki aadat hai

Visaal mien bhi wahi hai firaq ka aalam,
Ke usko neend mujhe rat jage ki aadat hai..

Tere naseeb mein ai dil sada ki mehroomi..
Na woh saaqi na tujhe maangne ki aadat hai..


Yeh khud aziyati kab tak 'faraz' tu bhi use.
Na yaad kar ke jise bhulne ki aadat hai..

Comments

Popular Posts