Husn ki aab-o-taab ka aalam.


Husn ki aab-o-taab ka aalam.
jalwa khud hai naqaab ka aalam.

aks-e-rooh-e-jamil kya kahiye.
jaam me aaftaab ka aalam.

marg-o-hasti me kasmkash tauba.
har nafas hai azaab ka aalam.

zindagi kya hai tashtar-o-paikaa.n.
maut chang-o-rabaab ka aalam.

sar nagoo.n ajmat-e-do aalam hain.
vo tumhari janaab ka aalam.

maut izhaar bajr be paaya.n.
zindagi hai saraab ka aalam. 

Izhaar Shaadaani

Comments

Popular Posts