bajaa rahi hai hawaa sitiyaa.N si kaano.N me.

bajaa rahi hai hawaa sitiyaa.N si kaano.N me.
utho ke dhoop utar aayi saaybaano.N me.

qubool ho gayi shayad dua-e-neemshabi.
dhuaa.N nikal to raha hai ghareebkhaano.N me.

khuda ke waaste aankho.N se poch lo aansoo.
rahega kaun tapakte hue makaano.N me.

bahaar aayi to hogi chaman me deedawar.
mile hain toote hue par kuch aashiyaano.N me.

chaman ke gird bahaaro.N ko dhundhne waalo.N.
khilaaye jaate hain gul ab to phooldaano.N me.

samajh ki baat hoon lekin samajh sakaa na koi.
main tarjumaa bhi hua saikado.N zubaano.N me.

kahaan pe garq ho jaakar "hayaat" ki kashti.
hawaa hawas ki na pahunchaao baadbaano.N me.

Comments

Popular Posts