Raunak giraane koocha-e-jaana.N chale gaye,
Raunak giraane koocha-e-jaana.N chale gaye,
saamaniyaan-e-besar-o-saamaa.N chale gaye,
Thi.N raunakein kabhi, jo shabon ki vo ab kahan,
khaabida gard-e-sher-e-nigaaraa.N chale gaye,
kar tehniyat qubool, tere aastaane se,
dushwar tar the jo, bahut aasaa.N chale gaye,
lab jumbishi ki, aur hi soorat ho ab koi,
bazm-e-nawaa ke pardah shanaasaa.N chale gaye,
bazm-e-nawaa ke pardah shanaasaa.N chale gaye,
ab aap subah-o-shaam masihaai kijiye,
vo chaara naapazeer miyaa.N jaa.N, chale gaye,
ab dair baawaron ka, kiya kijiye suraagh,
vo zood baawaraan-e-adabdaa.N chale gaye,
ae simt-e-ambareen ne, shab-e-intezaar-e-yaar,
vo intezaaryaan-e-sadarmaa.N chale gaye,
uska badan ajab hawas angez hai ki hai,
hum to miyaan chale bhi gaye, haa.N chale gaye,
us hinduni ne aisi jafaayein kari.N ki bas,
hindu the hum, so ho ke musalmaa.N chale gaye,
tha "jaun" uska naaf-e-piyaala, ki maikadaa,
bas ladkhadaa ke tashnah labaanaa.N chale gaye
Jaun Elia
Jaun Elia
Comments
Post a Comment