rishta-e-dil tere zamaane mein
rishta-e-dil tere zamaane mein
rasm hi kya nibhani hoti
muskuraaye hum us se miltay waqt
ro na partay agar khushi hoti?
meri aql-o-hosh ki sab haalatein
tumne saanche mein junoon kay dhaal deen
kar liya tha main ne ehd-e-tark-e-ishq
tumne phir baahein gale mein daal deen
sharm, dehshat, jhijhak, pareeshani
naaz se kaam kyun nahin leteen
"aap", "woh", "ji","magar" yeh sab kya hai
tum mera naam kyun nahin leteen
hai mohabbat hayaat ki lazzat
warna kuchh lazzat-e-hayaat nahin
kya ijazat hai aik baat kahun
woh...magar khair koi baat nahin
ehd-e-waabastagi guzaar kay main
wajh-e-waabastagi ko bhool gaya
yaani tum woh ho! waaqai? Had hai!
main to sach much sabhi ko bhool gaya!
ajab tha us ki dildaari ka andaaz
woh barson baad jab mujhse mila hai
bhala main poochhta us se to kaise
mataa-e-jaan tumhara naam kya hai?
saal ha saal aur aik lamha
koi bhi to na in mein bal aaya
khud hi ik dar pe main ne dastak di
khud hi larka sa main nikal aaya
hai yeh baazaar jhoot ka baazaar
to yahi jins kyun na tolein hum
kar kay ik doosray se ehd-e-wafa
aao kuchh dair jhoot bolein hum
- Jaun Elia
Comments
Post a Comment