Safar mein sochte rahte hain chhaa.nw aaye kahi.n,

Safar mein sochte rahte hain chhaa.nw aaye kahi.n,
yeh dhoop saaraa samundar hi pi naa jaaye kahi.n

main khud ko marte hue dekh kar bahut khush hoon,
ye Dar bhi hai ke meri aankh khul naa jaaye kahi.n
...
hawaa kaa shor hai baadal hai aur kuch bhi nahi.n,
jahaaz TooT hi jaaye, zamee.n dikhaaye kahi.n

chalaa to hoo.n magar is baar bhi ye DhaDkaa hai,
ye raastaaa bhi mujhe phir yehi.n naa laaye kahi.n

khamosh rahnaa tumhaaraa buraa naa thaa ''Alvi''
bhulaa diyaa tumhe sab ne naa yaad aaye kahi.n

Mohammad Alvi

Comments

Popular Posts