sar jhukao gay to pathar devta hojaye ga

sar jhukao gay to pathar devta hojaye ga
itna mat chaho usay wo bewafa hojaye ga

hum bhi darya hain humain apna hunar maloom hai
jis taraf bhi chal paren gay raasta hojaye ga

kitni sachai se mujhse zindagi ne keh diya
tu nahi mera to koi dosra hojaye ga

main Khuda ka naam le ker pee raha hoon doston
zehar bhi is mein ager hoga, dawa hojaye ga

sab usi k hain hawa, khushboo, zameen o aasmaan
main jahan bhi jaon ga us ko pata hojaye ga



Basheer Badr

Comments

Popular Posts