Sitaaron se aage jahaan aur bhi hain,
abhi ishq ke intehaa.n aur bhi hain

yahi zindagi se nahin ye fazaaye.n,
yahaa.n sainkDo.n kaarwaa.n aur bhi hain

qanaa'at na kar aalam e rang o boo par,
chaman aur bhi,aashiyaa.n aur bhi hain

agar kho gayaa ik nasheman to kyaa ghum,
maqaamaat e aaho.n fughaa.n aur bhi hain

tu shaahain parwaaz, parwaaz hai kaam teraa,
tere saamne aasmaa.n aur bhi hain

Isi roz dasht mein ulajh kar na rah jaa,
tere zamaan o makaa.n aur bhi hain

gaye din ke tanhaa thaa main anjuman mein
yahaan ab mire raazdaa.n aur bhi hain

Allaamaa Iqbaal

Comments