Suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain

Suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain
so uske shahr mein kuch din thahar ke dekhte hain

Suna hai rabt hai us ko Kharaab halon se
so apane aapko barbaad karake dekhate hain

Suna hai dard ki gaahak hai chashm-e-naazuk uski
so hum bhi uski gali se guzar kar dekhate hain

Suna hai usko bhi hai sher-o-shayari se shagaf
so hum bhi mojaze apane hunar ke dekhate hain

Suna hai bole to baatoun se phuul jhaartay hain
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhate hain

Suna hai raat use chaand takataa rahataa hai
sitaare baam-e-falak se utar kar dekhate hain

Suna hai din me use titaliyaan sataati hain
Suna hai raat ko jugnuu Thahar ke dekhate hain

Suna hai hashr hain us kii Gazaal si aankhein
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhate hain

Suna hai raat se barr kar hain kaakulein us ki
Suna hai shaam ko saaye guzar ke dekhate hain

Suna hai us ki siyaah chashmagi qayaamat hai
so us ko surmaafarosh aankh bhar ke dekhate hain

Suna hai us ke laboun se gulaab jalate hain
so ham bahaar par ilzaam dhar ke dekhate hain

Suna hai aainaa timasaal hai zabee.n uski
jo saadaa dil hain ban saanvar ke dekhate hain



Suna hai jab se hamaail hain us ki gardan main
mizaaj aur hi laal-o-gauhar ke dekhate hain

Suna hai chashm-e-tasawar se dasht-e-imkaan main
palang zaaviye us ki kamar ke dekhate hain

Suna hai us ke badan ke taraash aise hain
ke phuul apni qabaayen katar ke dekhate hain

veh sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahin
ke us shajar pe shaguufe samar ke dekhate hain

bas ek nigaah se luTataa hai qaafilaa dil kaa
so rahavaan-e-tamannaa bhi Dar ke dekhate hain

Suna hai uske shabistaan se muttasil hai bahisht
makee.n udhar ke bhi jalve idhar ke dekhate hain

ruke to gardishein us kaa tawaaf karati hain
chale to us ko zamaane thahar ke dekhate hain

kise naseeb ke beperaahan use dekhe
kabhi kabhi dar-o-diivaar ghar ke dekhate hain

kahaaniyaan hian sahi sab mubaalaGe hi sahi
agar wo Khvaab hai taabeer kar ke dekhate hain

ab us ke shahar main thahare ki kuuch kar jaaye
'Faraaz' aao sitaare safar ke dekhate hain



Ahmad Faraaz

Comments