Taanaazan kyun naa ho gulzaar,
Taanaazan kyun naa ho gulzaar,
choT hai apne dil afgaar
jab wo aaye shokHiye guftaar par,
chal gayi chaal apni bhi raftaar
uTh nahi.n sakti hayaa ke bojh se,
rahem aataa hai nigaahe yaar par
hijr mein har saa.ns hai ik teghe tez,
zindagi talwaar ki hai dhaar par
dost laaye us gali se jab mujhe,
jag gayaa saayaa meraa deewaar par
zabt se ashko.n ke,taaqat aa gayi,
Phir gayaa paani dil e beemaar par
chashme jaanaa.n se alag ho aye hayaa,
yun jhuk paDte nahi.n beemaar par
ghair kaa kyun ghum kiyaa kahte hain wo
kHoob barse mere maatamdaar par
Daagh
Comments
Post a Comment