Tanhaayi
Phir koi aaya, dil e zaar ! nahin, koi nahin
raah rau hoga, kahin aur chalaa jaayegaa
dhal chuki raat, bikharne lagaa taaroN kaa Ghubaar
laDkhaDaane lage ewaanoN mein kHwaabeedaa charaaGh
so gayi raasta tak tak ke har ik raah guzaar
ajnabi kHaak ne dhundhlaa diye qadmoN ke suraaGh
gul karo sham'eN, badhaa do mai-o-meenaa-o-ayaaGh
apne bekHwaab kivaaDoN ko muqaffal kar lo
ab yahaaN koi nahin, koi nahin aayegaa
Faiz Ahmad Faiz (1911-1984)

Comments
Post a Comment