Tiri tirchhi nazar kaa teer hai mushkil se niklegaa
Tiri tirchhi nazar kaa teer hai mushkil se niklegaa,
dil is ke saath hi niklegaa, agar ye dil se niklegaa
shab e ghum mein bhi meri sakHt jaani ko naa maut aayi,
tiraa kaam aye ajal, ab kHa.njar e qaatil se niklegaa
nigaah e shauq, meraa mudd'aa to un ko samjhaao,
Mire mu.nh se to harf e aarzu mushkil se niklegaa
kahaa.n tak kuch na kahiye ab to naubat jaan tak pahunchi,
takalluf bar taraf, aye zabt naala dil se niklegaa
tasavur kyaa tiraa aayaa qayaamat aa gayi dil mein,
ke ab har walwalaa baahar mazaar e dil se niklegaa
naa aaye.nge wo tab bhi dum nikal jaayegaa, aye ''Faani'',
magar mushkil se niklegsa baDi mushkil se niklegaa
Faani Budaayuni

Comments
Post a Comment