tumhare naam ka hum wird karne walay thay

tumhare naam ka hum wird karne walay thay
k is sabab se kai dar utarne walay thay

main roz jata wahan phool rakh k aa jata
tum eik baar jahan paon dharne walay thay
...
hum aisay log jinhain roshni darati thi
diya jala k tere naam karne walay thay

larazte honton se aawaz girne wali thi
sufaid farsh pe lehje bikharne walay thay

teh-e-kitaab meri saans rukti jati thi
bohat se lafz mere saath marne walay thay

dua'ein parhte hue aur geet gatay hue
mere qareeb se darya guzarne walay thay
  
Faisal Haashmi

Comments

Popular Posts