Unhe nafrat hui saare jahaa.n se,
Unhe nafrat hui saare jahaa.n se,
nayi duniyaa koi laaye kahaa.n se
tere haatho.n, ghubaar e kushtgaa.n se
zamee.n Takraa rahi hai aasmaa.n se
pareeshaa.n wo uThe kHwaab e garaa.n se
meri fariyaad hai aaho fughaa.n se
tumhaari baat lagti hai mujhe teer,
nigaah kaa kaam lete ho zubaa.n se
zaraa narmi bhi kar, aye sakHtjaani,
thakaa jaataa hai qaatil intihaa.n se
Kahoo.n kyunkar teri baate.n hain jhooTi,
zabaa.n pakDi nahi.n jaati zabaa.n se
tasalli ko dil e afsurdaa ki hum,
gul e pazmurdaa laaye bostaa.n se
chhupaa phoolo.n mein aye waad e bahaari,
Mujhe kHaTkaa hai kHaare aashiyaa.n se
Tere dar par jagah hai ''Daagh'' ki garm,
abhi uTh kar gayaa hai wo yahaa.n se
Daagh Dahelvi
Comments
Post a Comment