uski paayal agar chhanak jaaye

uski paayal agar chhanak jaaye
gardish'e aasmaa.n bhatak jaaye

uske ha.nsne ki kefiyat taubaa
jaise bijli chamak chamak jaaye


uski aankho.n ko dekh paaye agar
jo farishta hai wo behak jaaye

uski gardan ka tazkira sun kar
jo suraahi hai wo chhalak jaaye

le agar jhoom kar wo angdaai
zindgi daar par latak jaaye

aise bharpoor hai badan uskaa
jaise saawan ka aam pak jaaye

choor hai aise baankpan uskaa
jaise das das k saanp thak jaaye

haaye us mehjabee.n ki yaad "Adam"
jaise seene me dam atak jaaye

Abdul hameed Adam

Comments

Popular Posts